Manjil insan ke hausle aajmati hai
Sapnon ke parde aankhon se hatati hai
Thokar lagne par bhi himmat na haarna
Yahin thokren hi insan ko chalna sikhati hai
Kashti bach jati hai toofan me
Par hasti doob jati hai abhiman me
Bahar rishton ka mela hai bhitar har shakhs akela hai
Bas yahi jindgi ka jhamela hai
Udne do mitti ko aakhir kahan tak udegi
Havaon ne jab sath chhoda tab jameen par hi giregi
Jo log aalochana se darte hain, ve jeevan men kuchh nahin kar pate hain
Safar jitna kathin hota hai,Manjil utni hi shaandar hoti hai
Rakh hausala o raahi,Wo manzar bhi aayega
Pyaase ke saamne chalkar, Samandar bhi aayega
Kahin thakkar baith na jana,O manzil ke musafir
Tujhe manzil bhi milegi or,Milne ka mazaa bhi aayega
ConversionConversion EmoticonEmoticon